Tuesday 20 March 2012

Lamhe Shayari


Lamhe judai ke bekarar karte hain
haalat mere mujhe laachar karte hain
aankhe meri pad lo kabhi
ham khud kaise kahe ki aapse pyar karte hain…
Dil ki tadap ko kaise lafjo mein bayan karoon,
Teri yaad ko kaise apne dil se juda karoon,
Dil hi dil mein tujhko apna bana liya maine,
Tujh bin guzara kaise main mere meherba karoon…
Haal dekh kar mera khuda bhi tadap jayega,
Jab bhi hogi bewaffai ki baat nujhe bhi koi bhoola yaad aayega,
Are apno ne kya kami rakhi jo ab koi anjan sitam dhayega,
Mat chu palkon ko Hai itna dard isme ke tera daaman bheeg jayega.
Kabhi kabhi in ankhon me nami si hoti hai.
Kabhi kabhi in hoton pe hasi si hoti hai.
E dost wo tum hi ho, jis se meri jindagi zinda dil hoti hai.

Kitna bhi chaho na bhol paoge,
Kitna bhi chaho na bhol paoge,
Hum se jitna dur jao nazdik pao ge,
Humein mita sakte ho to mita do,
Yaadein meri, magar…
Kya sapno se juda kar pao ge humein.
Honth keh nahi sakte jo fasana dil ka,
Shayad nazar se woh baat ho jaye.
Is umeed mein karte hain intezaar raat ka,
ke shayad sapne mein mulaqat ho jaye.
Humse door jayoge kaise,
Dil se hume bhulayoge kaise,
Hum to vo khusboo hain jo aapki
Saanso mein baste hain,
Khud ki saanso ko rok payoge kaise
Har pal ne kaha ek pal se,
Pal bhar ke liye aap mere samne aa jao,
Pal bhar ka saath kuch aisa ho,
Ki har pal tum hi yaad aao…
Pyar karoge to dil tootega,
na karo to daman chootega.
Apan banawoge to rona parega,
paas awoge to khona parega.
Wife ko Begum kyon kehte hain?
Kyonki shaadi ke baad saare gum to husband ke hisse mein aate hain or wife Be-Gum ho jaat hai.
Sadham meets kajol n asks her ” how is ur life ?” kajol says ” Kabie khushi kabie gham!” n kajol asks Sadham ” how about u? ” n he says ” kabie BUSH kabie BOMB”!!!!!!!
Khush to bahut honge ki hamara sms aa gya ,par hum bhi bahut chalaak hain humne likha kuch bhi nahin hai…….

Aapki dosti ko ehsaan maangte hai,
Nibhana apna imaan maangte hai,
Lekin ham wo nahi jo dosti me apni jaan de denge,
Kyonki dosto ko to ham apni jaan maante hai.
~`~
Chaand adhoora hai sitaaro ke bina,
Gulshan adhooraa hai bahaaro ke bina,
Samundar adhoora hai kinaaro ke bina,
Jeenaa adhoora hai tum jaise yaaro ke bina.
~`~
Chaahta hu tujhe pyaar du,
Dost pe apni jindagee waar du,
Jab tera message nahi milata to,
Man karta hai teri jaan nikaal du.
~`~
Phool nahi ham kaanto me baste hai,
Khushi nahi ham gam me haste hai,
Shaayri karna aasaan nahi dard dil me hota hai
Tab shaayar bante hai.
~`~
Chaand ko akele me sharm aati hogi,
Baat kuch tumhaare bhi samajh me aati hogi,
Jab bhi jikra hota hai smart dosto ka,
Tumhe meri yaad bahut aati hogi.
~`~
Jaate jaate wo koi achi nishaani de gaye,
Umar bhar dohra saku aisi kahaani de gaye,
Ham to reh gaye pyaase,
Paye hamaari palko ko wo paani de gaye..
~`~
Chune se koi cheez apni nahi hoti,
Har muskuraahat khushi nahi hoti,
Kehna to chaahte hai bahut kuch magar,
Kabhi alfaaz to kabhi jubaan saath nahi hoti.
~`~
Kaun kehata hai mohabbat ki jubaan hoti hai,
Labo ke bina khule hi hakeekat bayaan hoti hai,
Ishq wo khudaai hai dost jo lafjo se nahi
Aankho se bayaan hoti hai.
~`~
Har khafa har berookhi ko tumhaari mohabbat samajhate hai,
Har naarajgi har doori ko tumhaari chaahat samajhate hai,
O sanam ham to sirf tum se hi pyaar karate hai.
~`~
Karte hai tujhe pyaar karte hi rehenge,
Bewafa duniya se ham ladate hi rahenge,
Ae bhool jaao tujhko ye mere bas me nahi,
Chaha hai tujhe ham chaahte hi rahenge…
~`~
Chehre par banaawat ka gussa,
Aankho se chalakta pyaar bhi hai…
Is ishq-e-ada ko kya kahiye inkaar bhi hai…
ikaraar bhi hai.
~`~
Aankho ki saja tab tak jab tak deedaar na ho,
Dil ki saja tab tak jab tak pyaar na ho,
Ye jindagi bhi ek saja hai,
Jab tak aap jaisa yaar na ho.
~`~
Apna khushi se nahi gam se bhi rishta hai mera,
Ye to aapki jindagee he wo ek hissa hai mera,
Ae dost aapse lafjo ka nahi rooh ka rishta he mera.
~`~
Kisi ne hame aashiq kaha,
Kisi ne hame deewaana kaha,
In aankho me aansu tab aaye,
Jab unhone hame begana kaha.
~`~
Aap jaise dost kuch khaas lagate hai,
Man main har waqt ek aas rakhte hai,
Jaane kab aa jaaye SMS aapka,
Isaliye cell ko dil ke paas rakhte hai.
~`~
Mohabbat me marna kaam na aaya,
Dil or jaan bhi di phir bhi aaraam na aaya,
Har shakhs tha mere saath par
Ek uska hi paigaam na aaya.
~`~
Yaado ke haseen pal mitaaye nahi jaate,
Gujare huye lamhe bhoolaye nahi jaate,
Tum laakh karo mohabbat ki naseehat,
Jo jaan se pyaare ho bhoolaye nahi jaate.
~`~
Apni bebasi par aaj rona aaya,
Doosro ko kya maine apno ko aajmaya,
Har dost ki tanhaai door ki,
Lekin khud ko har mod par akela paya.
~`~
Toone mujhse kyon daga ki,
Mere pyaar ki tune mujhe ye kaisi saja di ki
Har din gujarta hai mera tanahaaiyo me,
Maine to chaaha tha tujhako dil ki gehraaiyo se.
~`~
Unko pyaar karne ka hisaab na aaya,
Meri kisi bhi baat ka jawaab na aaya,
Ham to jaagte rahe unke hi khyaalo me,
Aur unko so kar bhi hamara khwaab na aaya.
~`~
Wo aate to hai par samay se nahi,
Wo chalte to hai par man se nahi,
Kaun kehta hai ki wo pyaar nahi karte,
Karte to hai par ham se nahi.
~`~
Aasmaan se utaari hai, taaro se sajaai hai,
Chaand ki chaandni se nahaai hai,
Mere dost! sambhaal ke rakhna ye dost
Ye meri jindagee bhar ki kamaai hai.
~`~
Ae mere SMS mere dost ke paas jana,
Agar wo so raha ho to shor mat machana,
Jab wo jaage to dheere se muskurana,
Phir dil ka haal batana- miss you.
~`~
Aaj phir dil hai kuch udaas udaas,
Jaane kyon ek maayusi si chaayi hai,
Aaj phir palko pe paani hai,
Bheed me hu phir kyon ye tanhaai hai.
~`~
Mehafil main jab dekha achanak unko,
Unse gujar kar aati hawa sharaab hone lagi,
Unhone aake haal pooch liya mera,
Jaane kyon meri haalat kharaab hone lagi.
~`~
Intajaar uska jiske aane ki koi aas ho,
Khooshbu bhi us phool ki jo mere paas ho…
Manjil na mil saki hame to koi gam nahi…
Gam bhi usi shakhs ka hota jise pyaar ka ehasaas ho.
~`~
Tujhe dekhna chaahti hu har pal
Shaayad tujhse bahut pyaar karti hu
Kal tak to tujhe jaanti bhi na thi
Aaj tera intajaar karti hu…
~`~
Pyaar ke ujaale me gam ka andhera aata kyon hai,
Jisko ham chaahe wahi roolata kyon hai,
Agar wo mera naseeb nahi,
To khuda aise logo se milata kyon hai?
~`~
Sehmi-sehmi nigaaho me khwaab ham jaga denge,
Sooni-sooni raaho pe phool ham khila denge,
Aap hamaare sang muskurakar to dekho,
Aapka har gam ham bhoola denge.
~`~
Tanhaai hai pyaar me, barbadi hai pyaar me,
Aansu hai pyaar me, bebasi hai pyaar me,
Hame sab pata hai lekin kya kare,
Ham bhi hai pyaar me.
~`~
Teri yaad me bahut paigaam likhate hai,
Teri yaad me gujaari wo shaam likhate hai,
Wo kalam bhi teri deewaani ho jaati hai,
Jis se tera naam likhate hai.
~`~
Is “dil” me dekho tasweer tumhaari hai,
In “aankho” me dekho tasweer tumhaari hai,
Jee rahe hai ab tak apni marjee se,
Lekin ye maut “amaanat” tumhaari hai.
~`~
Man me sabka aramaan nahi hota,
Har koi dil ka mehmaan nahi hota,
Par jo ek baar dil me sama jaaye
Use bhoolana aasaan nahi hota.
~`~
Jindagee tere bagair adhoori si lagti hai…
jindagee jeene ke liye teri jaroorat si lagti hai,
Aa jaa phir se laut kar meri jindagee me tu,
Meri aankhen aaj bhi pyaar ko wo din dhoonda karti hai.
~`~
Jaati nahi hai aankhon se soorat teri,
Jaati nahi hai dil se mohabaat teri,
Mehasoos ye hota hai jeene ke liye,
Pehale se jyada hai ab jaroorat teri.
~`~
Kitna haasil hai sanam tera ye muskura dena,
Najare milakar phir najare jhuka dena,
Kaise kahu ki kitana aasaan hai tere liye,
Qayamat ki bijaliya gira dena.
~`~
Koi itna chaahe tumhe to batana,
Koi itana palko pe bithaaye to batana,
Pyaar kar to lega har koi,
Par koi meri tarah nibhaaye to batana.
~`~
Kaash banaane waale ne hame aansu banaya hota,
Aur “usaki” aankh me basaya hota,
Jab girate unaki aankh se unki god me,
To hame marne ka maza aaya hota…
~`~
Kabhi jindagee ke pano ko ulta kar dekhiyega,
Aapko ek shakhs se, na dil se hota hai,
Ye pyaar to ittefaak se hota hai,
Or kya kahe pyaar karke bhi pyaar na mile,
Ye ittefaak sirf hamaare hi saath hota hai…?
~`~
Toofaan me logo ko kinaare bhi milate hai,
Jahaan me logo ko sahaare bhi milate hai,
Duniya me sabse pyaari hai jindagee
Kuch log jindagee se pyaare bhi milate hai.
~`~
Dekh meri aankho me khwaab kiske hai,
Dil me mere sulakhate toofan kiske hai,
Nahi gujra koi aaj tak is raaste se
Ho kar phir ye kadmo ke nishaan kiske hai.
~`~
Jab ho aapka pyara sa saath aur
Ho haatho me haath, tanhaai ho…rangeen,
Ho sama jaha koi aur nahi sirf aap aur ham ho waha,
Tab hogi barsaat pyaar ki, mere aur sirf mere pyaar ki.
~`~
Shaam utari jindagee gaane lagi,
Maut ko phir neend aane lagi,
Phir kisi ki yaad ka deepak jala aur
Andheri raat muskuraane lagi.
~`~
Dost jindagee ke kisi mod par mulaakaat hui,
To najar na chura lena,
Aapko kahi dekha hai bas
Ye keh kar bhoola lena.
~`~
Jis duniya me baste ho tum,
Usi duniya me baste hai ham,
Magar khuda ki kudrat dekho,
Tumhi se milane ko taraste hai ham.
~`~
Agar talaash karoge to koi mil hi jaayega,
Magar kaun hamaari tarah tumahe chaahe ga,
Tumhe jaroor koi chaahto se dekhega,
Magar wo aankhen hamaari kahan se laaye ga.
~`~
Kisi ko mohabbat ki achaayi ne maar dala,
Kisi ko mohabbat ki gehraahi ne maar dala,
Bach na saka is mohabbat se koi,
Jo bach gaya use tanhaai ne maar dala.
~`~
Kisi bhi mod par ham aapko khone nahi denge,
Juda hona bhi chaahe, chaandni raato me,
Aayegi hamaari yaad, hamaari yaad ke wo pal,
Aapko sone nahi denge.
~`~
Khushi aap ke liye-gam mere liye,
Jindagee aapake liye-maut mere liye,
Muskurana aap ke liye-aansu mere liye,
Sab kuch aapke liye or aap mere liye.
~`~
Tanhaaiyo me jikra tera hi aaya hai,
Tu nahi jaanti tujhme main kya paya hai,
Phoolo sa sundar rishta hai aur ek aapka waqt hai jisme,
Hame yaad karne wala pal hi nahi aata?
Close ur eyes & imagine:
Chand ka bed,
Taron ki razai
aur phoolon ka takiya!!!
Nice na??
Now come back to earth & sleep on ur KHATIA…Good Night.
`
Chandni Raat Me Madhosh Hone Se Pehle
Khuabon Ki Dunya Main Khone Se Pehle
Maine Socha Apko Yaad Dila Don
Kalma Parh Lena Sone Se Pehle…
Good Nite :)
`
Bindas sone ka,
Rapchik sapne dekhne ka,
Bhoot ko nahi dekhne ka,
Boleto….. Aina nahi dekhne ka,
Aur blanket odh ke fultus so jane ka,
Boleto Good Night.
`
Deepak mein agar noor na hota,
Tanha dil yeh majbhoor na hota,
Hum apko good night kahne aate,
Agar apka ghar itna door na hota.
Good night & have sweet dream…!

No comments:

Post a Comment