Wednesday 21 March 2012

Thinking U Shayari

Mere pyaar ka hisaab jo lagaoge,
To mere pyar ko behisaab paoge,
Paani ke bulbule sa hai mera pyar,
Zara si thes lagi to dhundte rehjaoge.
`
Yoon to zindagi ki rahoon main log hazar milengay
Hum kya hum say achy hazar milengay
Lekin bhool na jana bhool se bhi hamain
Kyoon k hum kahan apko bar bar milengay..
`
Dur na jaaya karo dil tadap jaata hai
Tere hi khayalon me din guzar jaata hai
Aaj puchha hai dil ne ek sawal tumse
Kya dur rehker tumko bhi hamara khayal ata hai..
`
Khamosh raat ke pehlu me sitare nahi hote,
In rukhi aankho me rangin nazare na hote.
Hum bhi na karte parwah,
Agar aap itne pyare na hote…
`
Badalna aata nahi humko mousmo ki tarah
Har ek roop main tera intezaar karte hain
Na tum samet sakogi jise qayamat tak
Kasam tumhari tumhe itna pyar karte hain.
`
Ajeeb si kashish hai aap me
Ki hum aap k khayalon me khoye rehte hai…
Ye soch kar k aap khawabo me aao ge
Hum din me bhi soya karte hai.
`
Kabhi kabhi in ankho main nami se hoti hai
Kabhi kabhi in honto pe hansi si hoti hai
Ae dost woh tumhi ho jisse meri zindgi, zindgi si hoti hai…
`
Hum aap ko kabhi khoney nahin denge,
Juda hona chaha to bhi hone nahin denge,
Chandni raton mein aye gi meri yaad,
Meri yaad ke woh pal aap ko sone nahin denge.
`
Na tasveer hai tumahari jo didar kiya jaye,
Na tum pass ho jo pyar kiya jaye
Yeh kaun sa dard diya hai aap ne,
Na kuch kaha jaye,na tum bin raha jaye..
`
Har ahat ehesas hamara dilayegi
Har hawa kissa hamara sunayegi
Hum itni yaadein bhar denge
Na chahate hue bhi aapko yaad humari aayegi…
Kabar k sannate me se ek awaz aayi
Kisi ne phool rakhkar aansu ki do bund bahai.
Jabtak tha jinda tabtak thokar khai
Ab so raha hu to usko meri yaad aayi.
`
Kaash yeh dil sheeshay ka bana hota
chot lagti to beshaq yeh fanah hota.
Par sunte jab woh aawaz iske tootney ki
ya khuda tab to unhe ehsaas-e-gunah hota!
`
Thak gaye hm unka Intzar krte krte
roye hazar bar khudse takrar krte krte.
Do lafz unki zuban se na nikle,
aur Tut gaye hm ektarfa pyar krte krte
`
Humne to tujhe kabhi gair nahi samjha
tu bhi apna hone ka kuch haq jata de.
yu gawara nahi jeena bin tere mujhe
koi to wajah bata de.
dooba hu jis kadar teri chaht mein tu bhi doobe
aise kuch to haalat bana de.
kuch or nahi to kar itna karam
jahan tu yaad na aaye wo jagah bata de.
`
Suraj Wo Jo Din Bhar asmaan Ka Sath De,
Chaand Wo Jo Raat Bhar Taaro Ka Sath De,
Pyaar Wo Jo Zindgi Bhar Sath De
aur Dosti Wo Jo Har Khushi aur Gum Mein Sath De
`
Kahan koi kitab aisi mili jispe dil luta dete,
hr ek ne dimag khaya kis-kis ko nipta dete,
ab syllbus dekh k sochte hain k
1 mahina aur hota to dunia hila dete.
`
Koi hame pyar kare
aisa koi pyar nhi milta,
zindagi bhar saath nibhaye
aisa koi yaar nhi milta.
Dil mein hai umang kisi se pyar karne ki,
magar koi hame ji bhar k pyar kare
aisa koi dildar nhi milta.
`
Dosti karna humein bhi sikhado zara,
us dil ke kone me humko bhi bithalo zara,
hum tumhare dil me hai ki nahi
hothon se na sahi isharo se bata do zara.
`
Karib se Tumhe Dekha to apna paya,
Jab Tumhe Dosti me Azmaya to apna paya,
Tumhe kya Naam dun Samajh mein nahi aata-
Dost, Pyar, Zindagi ya Mera Saaya.
`
Popcorn ki khushbu
Mungfali ki bahar,
Thandi ka Mousam aane ko Tayar.
Thodi si masti,Thodasa pyar.
Muffler Sweatar rakho Dhokar Tayar.
Happy Winterseason.
Na wakt hai itna ki sylabus pura kiya jae
na tarkib koi ki exam pas kiya jae.
Na jane kaun sa dard diya hai is padhai ne
na roya jaye
aur na soya jaye.
`
Pal ne kaha ek pal se,
Pal bhar ke liy tum mere ho jao,
Par pal bhar ka sath kuch aisa ho
ki Har pal tum hi tum yaad aao..!
`
Argument wins the situation
bt loses the person.
So never argue with ur loved ones
coz situation is not important
than ur loved ones.
`
Aansu pite hain pyas bujane k liye,
aag humne hi lagai thi khud ko jlane k liye.
Is janam me to mumkin nahi,
aur janam lagenge aapko bhulane k liye.
`
Hamari Zindgi hai dosto ki Amaant
Rakhna mere Khuda sada unko salamat.
Dena unhe khushian sare jahan ki
Ban jaye woh Taarif har ek Zubaan ki.
`
Jagaya unhone aisa ki aajtak so na sake
rulaya unhone aisa ki sabke samne ro bhi na sake.
jane kya baat thi unme
jabse mana unhe apna
tab se kisi ke ho na sake.
`
Baatein karke rula na dijiyega
U chup rehke saja na dijiyega.
Na de sake khushi to gam he shi
Per dost bna ke u,bhula na dijiyega.
`
Purani aur nayi Umrao Jaan
mein kya farak hai…??
Purani Papa ki jaan thi
aur nayi Bete ki jaan hai….
`
Sardars always study
in front of a mirror bcos
it helps saving revision time.
2) he can keep a watch on himself.
3) he likes combined studies.!
`
Uski baaton ko baar-2 yaad kar k roye,
Uske liye dar pe fariyad kar k roye.
Uski khushi k liye use chhod diya,
phir use kisi or k sath aabaad kar k roye.
Dear customer,
u r not using your sms service properly.
your sim will be deactivated soon due to ghussa.
to avoid this, quickly send a cute sms to the sender
`
When i don’t get your sms
a little pain in my heart
a small tear in my eyes and
sadness falls on my face.
what is this?
it’s nothing
“Just Dramabazi.”
`
Aasman pe raat ko moon hota hai
ishq jab haad se guzar jai to junon hota hai.
jis awaz pe dil dharke woh aap ka fone hota hai.
aap k sms se jaan ko sakon hota hai.
`
Umeedo ki manzil toot gayi
aankho se ashqo ki dhara beh gayi
are tumahri bhi kya izaat reh gayi
jab class ki ladki bhaiya keh gayi
`
Every body wants:
sum 1 special, sum 1 nice,
sum 1 cute, sum 1 smart,
sum 1 sweet, sum 1 honest,
tabhi to mein kahon
sare mere pechey kyon parey hain
`
Jab tak ham jiyenge, Aapko Yaad kiya Karenge.
Agar Hum Mar Bhi Gaye to Kya Hoga,
Yamraaj ke Mobile Se Aapko SMS Kiya Karenge…
`
Aapko phone kiya to network bola,
namaskar, paglo ki duniya me aapka swagat hai,
aap jis pagal se baat karna chahte hai
is waqt uska DIMAAG switch off hai plz try later
`
SMS kerne main kitna maza aata hai
lekin dil ghabrata hai
kyunke balance jata hai
lekin asal maza tab aaata hai
jab kanjoos logon se sms ka jawab aata hai
`
Main aur tum, tum aur main,
yani hum dono, aaj raat ko,
ek baje k baad, akele main,
chup k se, bistar pe late k,
ek dosre ko, SmS karain gey.
Mujhe Dard-e-Ishq ka maza Maloom hai,
Mujhe Dard-e-Dil ki inteeha maloom hai,
Mujhe Muskurane ki Dua na do…..
Mujhe pal bhar Muskurane ki saza Maloom hai !!!
`
Yaad toh har koi karega jaane ke baad
sache pyar ka pata chal jaayega vaqt aane ke baad
kaun kitni mohabbat karta hai
nazar aajayega mar jaane ke baad
`
Har kadam pe dhoke milte rahege
par fiza me phool phir bhi khilte rahege
yeh haqeeqat hai lowg aksar badal jate hai
par phir bhi anjaano se dil milte rehte hai..!!
`
yaado main kabhi aap bhi khoye hoge
khuli aankho se kabhi aap bhi soye hoge
maana hasna hai aadat gum chupaane ki
par haste haste kabhi aap bhi roye hoge
`
labo pe geat to aankho mei khwab rakhte the..
kabhi kitabo mei hum bhi gulaab rakhte the ..
kabhi kisi ka jo hota tha intezar humei..
bada hi sham o sehar ka hisaab rakhte the…
`
Is jahan me mohabbat kash na hoti,
To safar-e-zindagi me mithas na hoti!
Agar milti BEWAFA ko sazae maut,
To diwano ki kabre yu udas na hoti!!
Yaad aaye to aankhen band na karna,
hum chale bhi jaaye to gum na karna.
Yeh zaruri nahi ki har rishte ka koi naam ho,
per dosti ka ehsaas kabhi dil se kam na karna.
`
Tere Waade Pe Hum Ne Bharosa Kiya…,
Kuchh To Ulfat Ka Tum Bhi Haq Nibhaaya Karo…;
Hum Bhi Hamraaz Hain Tum Bhi Hamraaz Ho…,
Dil Ki Baat Humse Na Chhupaaya Karo..!!!
`
Dil ki choton ne kabhi chain se rehane na diya,
Jab chali sard hawa maine tujhe yaad kiya,
Iska roona nahin kyoon tumne kiya dil barbad mera,
Iska gham hai ke bahoot deer mein barbad kiya.
`
Jab kabhi mausam mein khushbu bikhar jaye,
Jab kabhi chandni mein raat bikhar jaye,
Jab kabhi bewajah hi dhadkanein machal jaye,
to samajhna ki hamne apko yaad kiya.
`
Hum mitti ke aashiyane banate gaye,
bana bana kar unko mitate gaye,
humain apna na bana saka koi,
ek hum hi the jo sabko apna banate gaye !!
Darta huin kahin main pagal na ban jaoin,
teekhi nazar aur sunahre roop ka kayal na ban jaoin,
ab bas bhi kar zalim kuch to raham kha mujhe per,
chali ja meri nazro se door kahin main shayar na ban jaoin
`
Dekhi hai humne duniya jahaan husne-e-bazar ke,
too uhin ruk jaye hamari nazar ye itni sasti nahi,
koi hoor, koi noor ya koi zannat ki pari ho to kya,
dava hai hamara tik jaye tere samne aisi koi hasti nahi
`
Tere pyaar mein mere sanam,
hum khud se mulaquat kar bhete
Chalte chalte bas yunhi achanak,
hum zindagi se mulaquat kar bhete.
`
Palko ke kinare humne bhigoye hi nahi,
woh sochte hai hum roye hi nahi,
woh puchte hai khwabon me kise dekhte ho,
hum hai ki ek umr se soye hi nahi…
`
Kashish honi chaiye yaad karne ki,
lamhe to apne aap mil jate hain.
Waqt hona chaiye sath guzarne ke liye,
bahane to apne aap ban jate hain..
`
Jagaya unhone aisa ki aaj tak so na sake,
Rulaya unhone aisa ke sabke samne ro bhi na sake,
Jaane kya baat thi unme,
Jabse mana unhe apna tabse kisi ke ho na sake.
`
Phul ki tarah haste raho to hum khush hai,
Dil kholkar jeete raho to hum khush hai,
yeh nahi kehte ki roj milo,
bas kisi din yaad karliya karo to hum khush hai.
`
“Zinda rahe toh phir milenge”.
Magar aap se mil ke
Ish dil ne mehasoos kiya hai ki,
“Aapse milte rahe toh Zinda Rahenge”.
`
Yeh raat itni tanha kyun hoti hai,
kismat se apni sabko sikayat kyun hoti hai,
Ajeeb khel khelti hai yeh kismat
Jise hum pah nahi sakte
usi se mohabbat kyun hoti hai.
`
Tammana se nahi tanhai se darte hain,
pyaar se nahi ruswaai se darte hain,
milne ki to bahut chahat hai,
par milne ke baad judaai se darte hain
`
Dil mein tumhari apni kami chod jayenge,
Aankhon mein intezar ki lakir chod jayenge,
Yaad rakhna dhundte rahooge humhe,
pyar ki aisi kahani chod jayenge.
`
Pyasi nigaho ne har pal unka deedar maanga,
Jaise amavas ne har raat chand maanga.
Ruth gaya woh Khuda bhi humse,
Jab humne apni har duwa mein unka saath maanga.

No comments:

Post a Comment