Thursday 22 March 2012

Chahat Shayari

Ek muskan tu muhje ek baar de de
khwab mein hi sahi ek deedar de de.
Bas ek baar kar le tu aane ka wada
phir Umar Bhar ka chahe intezar de de.
`
Insurance wale bhi kya gajab dhate hain
Insurance wale bhi kya gajab dhate hain
logon ki patniyon ke pas ghanton bethkar
unke pati ke marne ke fayde batate hain.
`
Chahat hai kisi chahat ko pane ki
chahat hai chahat ko aazmane ki.
wo chahe hume chahe na chahe par chahat hai
unki chahat me mit jane ki.
`
Lehro se milkar na wo beh sake na hum
Ek duje k dil me na wo reh sake na hum.
Jeet lete aasma ek din lekin
palko ki khamoshi ko honton se na wo keh sake na hum.
`
Tanhaayi ka lamba safar katt-ta hi nahi
Aapke bina koi accha lagta hi nahi.
Koi nahi jo pooch ley iss dard-e-dil ka haal
Aapke binn ye DIL kahi lagta hi nhi.
`
Khushiyon ka sansar leke ayenge,
Patjhad me bhi bahaar leke ayenge.
Jab bhi pukaroge pyar se hume,
Maut se saansen udhar leke ayenge.
`
Is Naacheez ko aapse sda pyar rhega
aapse milne ko Dil b bekraar rhega.
Aap chle jana humse chahe kitna b door
in nigahon ko aapka intezar rhega.
`
Dosti ke bazaar me chah nahi hoti
dard hota hai magar aah nahi hoti.
dil se kiya gaya ho koi sauda
to chukaai gayi kimat ki parwah nahi hoti.
`
Mat rakh humse wafa ki ummid
humne har dum bewfai pai hai.
Mat dhundh hamare jism pe zakhm k nishan,
humne har chot dil pe khai hai.
`
Taqdir k khel se kabhi mayus nhi hote,
Zindgi me aise kabhi bebaas nhi hote,
Hatho ki lakiron par yakeen mat krna,
Taqdir toh unki bhi hoti h..Jinke haath nhi hote!
Khush He wo hamhe yaad na karke,
hans rahe he wo humse baat na karke
ye hansi unke hoto se kabhi na jaye
khuda kare wo hamri maut pe b muskuraye…
`
Jo tumhe dard de usko pyaar karo
jo tumhe pyar kare us dil ko kabhi dar mat do
kyunki tum sari duniya ke oiye ek ho magar
kisi ek liye tum saari duniya ho..
`
Apno ne Zehar ka jaam de diya,
Gairon ne Bewafa naam de diya
Wo jo kehte they bhul na jana hume
Aaj unhone hi bhari MEHFIL me ANJAAN keh diya…
`
Pathar ki hai duniya Jajbaat nahi samajti,
Dikl me kya hai vo baat nahi samajti
Tanha to Chand bhi hai sitaron ke beech,
par chand ka dard vo raat nahi samajti..
`
Kahte hain ki jab koi kisi ko bahut yaad karta hai to 1 tara toot ke girta hai, 
1 din saara aasman khali ho jayega aur aapki wajah se ilzaam mere sir aayega…
`
Pyar ne ye kaisa tohfa de diya
mujhko gumo ne pathar bana diya
teri yaadon main hi kat gayi ye umar
kehta raha tujhe kab ka bhula diya…
`
Zindagi Sirf Mohabbat Nahin Kuch Aur Bhi Hai
Zulf-o-Rukhsaar ki Jannat Nahi Kuch Aur Bhi Hai
Bhookh Aur Pyaas ki Maari Hui Is Duniya Mein
Ishq Hi Ek Haqeeqat Nahin Kuch Aur Bhi Hai…

Simple Bye makes us cry,
Simple joke makes us Laugh,
Simple care makes us fall in Luv,
Simple Touch makes us feel better,
But I hope my simple MSG makes U smile!
YOU look Sweet when You read my SMS,
Sweeter when You read n Smile…
But You look Sweetest when You read,
Smile n Reply.. )
So try 2 look Sweetest always.
Durr kahin wadi main rahta hai woh!
Har lamha khayal main rahta hai woh!
Kaisa hai woh kis haal main hai woh!
Dil ke har sawal main rahta hai woh!
Chahane se har baat nahi hoti,
Thode se andhere se raat nahi hoti…..
Jinhe hum jaan se jyada chahte hai,
Unse har roz mulakat nahi hoti…..

Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki
us ke bina jiya nahi ja sakta.
Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega
Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab hum sath hai
kal ka kya pata, waqt kahan le jayega
Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston ke liye haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hai to kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !
Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !
Dosti ek saahil hai tufaano ke liye,
Dosti ek aaina hai armaano ke liye,
Dosti ek mehfil hai anjaano ke liye,
Dosti ek khawaahish hai aap jaise dost ko paane ke liye !!
Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon,
Tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon,
Hai meri dosti mein itna dum,
Apni aankh ka aansoon teri aankh se gira sakta hoon !!
Aye dost teri dosti uss ghadi tadpaayegi,
Jab zindagi kahegi alvida, Aur maut bhi naa aayegi ! �
kaun kehta hai ishq me bas ikraar hota hai
kaun kehta hai ishq me bas inkaar hota hai
tanhai ko tum bebasi ka naam na do
kyunki ishq ka doosra naam hi intezar hota hai
dete ho kyun ye dard bus humi ko
kya samjhoge tum in ankho ki nami ko
yun to honge lakho deewane is chand kay
chand kya mehsus karega ek tare ki kami ko
Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
humein aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai
Aapki dosti ko ehsaan maangte hai,
Nibhana apna imaan maangte hai,
Lekin ham wo nahi jo dosti me apni jaan de denge,
Kyonki dosto ko to ham apni jaan maante hai.
~`~
Chaand adhoora hai sitaaro ke bina,
Gulshan adhooraa hai bahaaro ke bina,
Samundar adhoora hai kinaaro ke bina,
Jeenaa adhoora hai tum jaise yaaro ke bina.
~`~
Chaahta hu tujhe pyaar du,
Dost pe apni jindagee waar du,
Jab tera message nahi milata to,
Man karta hai teri jaan nikaal du.
~`~
Phool nahi ham kaanto me baste hai,
Khushi nahi ham gam me haste hai,
Shaayri karna aasaan nahi dard dil me hota hai
Tab shaayar bante hai.
~`~
Chaand ko akele me sharm aati hogi,
Baat kuch tumhaare bhi samajh me aati hogi,
Jab bhi jikra hota hai smart dosto ka,
Tumhe meri yaad bahut aati hogi.
~`~
Jaate jaate wo koi achi nishaani de gaye,
Umar bhar dohra saku aisi kahaani de gaye,
Ham to reh gaye pyaase,
Paye hamaari palko ko wo paani de gaye..
~`~
Chune se koi cheez apni nahi hoti,
Har muskuraahat khushi nahi hoti,
Kehna to chaahte hai bahut kuch magar,
Kabhi alfaaz to kabhi jubaan saath nahi hoti.
~`~
Kaun kehata hai mohabbat ki jubaan hoti hai,
Labo ke bina khule hi hakeekat bayaan hoti hai,
Ishq wo khudaai hai dost jo lafjo se nahi
Aankho se bayaan hoti hai.
~`~
Har khafa har berookhi ko tumhaari mohabbat samajhate hai,
Har naarajgi har doori ko tumhaari chaahat samajhate hai,
O sanam ham to sirf tum se hi pyaar karate hai.
~`~
Karte hai tujhe pyaar karte hi rehenge,
Bewafa duniya se ham ladate hi rahenge,
Ae bhool jaao tujhko ye mere bas me nahi,
Chaha hai tujhe ham chaahte hi rahenge…
~`~
Chehre par banaawat ka gussa,
Aankho se chalakta pyaar bhi hai…
Is ishq-e-ada ko kya kahiye inkaar bhi hai…
ikaraar bhi hai.
~`~
Aankho ki saja tab tak jab tak deedaar na ho,
Dil ki saja tab tak jab tak pyaar na ho,
Ye jindagi bhi ek saja hai,
Jab tak aap jaisa yaar na ho.
~`~
Apna khushi se nahi gam se bhi rishta hai mera,
Ye to aapki jindagee he wo ek hissa hai mera,
Ae dost aapse lafjo ka nahi rooh ka rishta he mera.
~`~
Kisi ne hame aashiq kaha,
Kisi ne hame deewaana kaha,
In aankho me aansu tab aaye,
Jab unhone hame begana kaha.
~`~
Aap jaise dost kuch khaas lagate hai,
Man main har waqt ek aas rakhte hai,
Jaane kab aa jaaye SMS aapka,
Isaliye cell ko dil ke paas rakhte hai.
~`~
Mohabbat me marna kaam na aaya,
Dil or jaan bhi di phir bhi aaraam na aaya,
Har shakhs tha mere saath par
Ek uska hi paigaam na aaya.
~`~
Yaado ke haseen pal mitaaye nahi jaate,
Gujare huye lamhe bhoolaye nahi jaate,
Tum laakh karo mohabbat ki naseehat,
Jo jaan se pyaare ho bhoolaye nahi jaate.
~`~
Apni bebasi par aaj rona aaya,
Doosro ko kya maine apno ko aajmaya,
Har dost ki tanhaai door ki,
Lekin khud ko har mod par akela paya.
~`~
Toone mujhse kyon daga ki,
Mere pyaar ki tune mujhe ye kaisi saja di ki
Har din gujarta hai mera tanahaaiyo me,
Maine to chaaha tha tujhako dil ki gehraaiyo se.
~`~
Unko pyaar karne ka hisaab na aaya,
Meri kisi bhi baat ka jawaab na aaya,
Ham to jaagte rahe unke hi khyaalo me,
Aur unko so kar bhi hamara khwaab na aaya.
~`~
Wo aate to hai par samay se nahi,
Wo chalte to hai par man se nahi,
Kaun kehta hai ki wo pyaar nahi karte,
Karte to hai par ham se nahi.
~`~
Aasmaan se utaari hai, taaro se sajaai hai,
Chaand ki chaandni se nahaai hai,
Mere dost! sambhaal ke rakhna ye dost
Ye meri jindagee bhar ki kamaai hai.
~`~
Ae mere SMS mere dost ke paas jana,
Agar wo so raha ho to shor mat machana,
Jab wo jaage to dheere se muskurana,
Phir dil ka haal batana- miss you.
~`~
Aaj phir dil hai kuch udaas udaas,
Jaane kyon ek maayusi si chaayi hai,
Aaj phir palko pe paani hai,
Bheed me hu phir kyon ye tanhaai hai.
~`~
Mehafil main jab dekha achanak unko,
Unse gujar kar aati hawa sharaab hone lagi,
Unhone aake haal pooch liya mera,
Jaane kyon meri haalat kharaab hone lagi.
~`~
Intajaar uska jiske aane ki koi aas ho,
Khooshbu bhi us phool ki jo mere paas ho…
Manjil na mil saki hame to koi gam nahi…
Gam bhi usi shakhs ka hota jise pyaar ka ehasaas ho.
~`~
Tujhe dekhna chaahti hu har pal
Shaayad tujhse bahut pyaar karti hu
Kal tak to tujhe jaanti bhi na thi
Aaj tera intajaar karti hu…
~`~
Pyaar ke ujaale me gam ka andhera aata kyon hai,
Jisko ham chaahe wahi roolata kyon hai,
Agar wo mera naseeb nahi,
To khuda aise logo se milata kyon hai?
~`~
Sehmi-sehmi nigaaho me khwaab ham jaga denge,
Sooni-sooni raaho pe phool ham khila denge,
Aap hamaare sang muskurakar to dekho,
Aapka har gam ham bhoola denge.
~`~
Tanhaai hai pyaar me, barbadi hai pyaar me,
Aansu hai pyaar me, bebasi hai pyaar me,
Hame sab pata hai lekin kya kare,
Ham bhi hai pyaar me.
~`~
Teri yaad me bahut paigaam likhate hai,
Teri yaad me gujaari wo shaam likhate hai,
Wo kalam bhi teri deewaani ho jaati hai,
Jis se tera naam likhate hai.
~`~
Is “dil” me dekho tasweer tumhaari hai,
In “aankho” me dekho tasweer tumhaari hai,
Jee rahe hai ab tak apni marjee se,
Lekin ye maut “amaanat” tumhaari hai.
~`~
Man me sabka aramaan nahi hota,
Har koi dil ka mehmaan nahi hota,
Par jo ek baar dil me sama jaaye
Use bhoolana aasaan nahi hota.
~`~
Jindagee tere bagair adhoori si lagti hai…
jindagee jeene ke liye teri jaroorat si lagti hai,
Aa jaa phir se laut kar meri jindagee me tu,
Meri aankhen aaj bhi pyaar ko wo din dhoonda karti hai.
~`~
Jaati nahi hai aankhon se soorat teri,
Jaati nahi hai dil se mohabaat teri,
Mehasoos ye hota hai jeene ke liye,
Pehale se jyada hai ab jaroorat teri.
~`~
Kitna haasil hai sanam tera ye muskura dena,
Najare milakar phir najare jhuka dena,
Kaise kahu ki kitana aasaan hai tere liye,
Qayamat ki bijaliya gira dena.
~`~
Koi itna chaahe tumhe to batana,
Koi itana palko pe bithaaye to batana,
Pyaar kar to lega har koi,
Par koi meri tarah nibhaaye to batana.
~`~
Kaash banaane waale ne hame aansu banaya hota,
Aur “usaki” aankh me basaya hota,
Jab girate unaki aankh se unki god me,
To hame marne ka maza aaya hota…
~`~
Kabhi jindagee ke pano ko ulta kar dekhiyega,
Aapko ek shakhs se, na dil se hota hai,
Ye pyaar to ittefaak se hota hai,
Or kya kahe pyaar karke bhi pyaar na mile,
Ye ittefaak sirf hamaare hi saath hota hai…?
~`~
Toofaan me logo ko kinaare bhi milate hai,
Jahaan me logo ko sahaare bhi milate hai,
Duniya me sabse pyaari hai jindagee
Kuch log jindagee se pyaare bhi milate hai.
~`~
Dekh meri aankho me khwaab kiske hai,
Dil me mere sulakhate toofan kiske hai,
Nahi gujra koi aaj tak is raaste se
Ho kar phir ye kadmo ke nishaan kiske hai.
~`~
Jab ho aapka pyara sa saath aur
Ho haatho me haath, tanhaai ho…rangeen,
Ho sama jaha koi aur nahi sirf aap aur ham ho waha,
Tab hogi barsaat pyaar ki, mere aur sirf mere pyaar ki.
~`~
Shaam utari jindagee gaane lagi,
Maut ko phir neend aane lagi,
Phir kisi ki yaad ka deepak jala aur
Andheri raat muskuraane lagi.
~`~
Dost jindagee ke kisi mod par mulaakaat hui,
To najar na chura lena,
Aapko kahi dekha hai bas
Ye keh kar bhoola lena.
~`~
Jis duniya me baste ho tum,
Usi duniya me baste hai ham,
Magar khuda ki kudrat dekho,
Tumhi se milane ko taraste hai ham.
~`~
Agar talaash karoge to koi mil hi jaayega,
Magar kaun hamaari tarah tumahe chaahe ga,
Tumhe jaroor koi chaahto se dekhega,
Magar wo aankhen hamaari kahan se laaye ga.
~`~
Kisi ko mohabbat ki achaayi ne maar dala,
Kisi ko mohabbat ki gehraahi ne maar dala,
Bach na saka is mohabbat se koi,
Jo bach gaya use tanhaai ne maar dala. 

No comments:

Post a Comment