Wednesday 21 March 2012

Bewafa Shayari

Aag Dil Me Lagi Jab Wo khafa Hue
Mehsoos hua Tab, Jab Wo Juda Hue
Kar K Wafa Kuch De Na Sake Wo
Per Bahut Kuch De Gaye Jab Wo Bewafa Hue…
`
Tum Agar Yaad Rakho Gey to Inayat Hogi,
Warna ham ko Kahan Tum se Shikayat Hogi,
Ye to Bewafa logon ki Dunya hai,
Tum agar Bhool b Jao to Riwayat Hogi.
`
Us k Chehry Per is Qadar Noor Tha
K Us ki Yaad Mein Rona bhi Manzoor Tha
Bewafa B Nahi keh Sakty us ko Faraz
Pyar to ham ne Kia Hai Woh to Bekasoor Tha.
`
Sitam Ko Humne Berukhi Samjha,
Pyaar Ko Humne Bandagi Samjha,
Tum Chaahe Hume Jo Bhi Samjho,
Humne To Tumhe Apni Zindagi Samjha.
`
Mat Zikar Kijye Meri Adaa K Baaray Mai,
Main Buhat Kuch Janta Hoon Wafa K Baaray Mai,
Suna Hai Woh Bhi Mohabbat Ka Shoq Rakhte Hain,
Jo Jante Hi Nahi Wafa K Baaray Mai.
`
Hamain Na Muhabbat Mili Na Pyar Mila
Hum ko Jo Bhi Mila Bewafa Yaar Mila
Apni to Ban Gai Tamasha Zindagi.
Har koi Apny Maqsad ka Talabgar Mila.
`
Tere Chokhat Say Sar Uthaon Tu Bewafa Kehna
Tere Siwa Kisi Or Ko Chahon Tu Bewafa Kehna
Meri Wafaon Pe Shak Hai To Khanjar Utha Lena
Shoq Say Mar Na Jaon Tu Bewafa Kehna!!
`
Bewafa To Woh Khud Thi,
Par Ilzaam Kisi Aur ko Deti Hai.
Pehle Naam Tha Mera Uske Hothon Par,
Ab Woh Naam Kisi Aur ka Leti Hai.
Kabhi Leti Thi Wada Mujhse Saath Na Chorne Ka,
Ab Yehi Wada Kisi Aur Se Leti Hai.
`
Kash Pyar Ka Insurance Hojata,
Pyar Karne Se Pehle Premium Bharwaya Jata.
Pyar Me Wafa Mili To Theek Warna
Bewafaon Pe Jo Kharcha Hota Uska Claim To Mil Jata.
`
Humare Muskurane ki Wajah Tum Ho,
Hamare Zindagi ka Matlab Tum Ho,
Agar Chor Diya Saath Hamara To Samajh Lena
K Hamari Maut ki Waja Bhi Tum Ho.
`
Barbad Kar Gaye Wo Zindagi Pyar k Naam Se
Bewafai Mili Sirf Wafa k Naam Se
Zakhm He Zakham Diye us ne Dawa k Naam Se
Asman Bhi Ro Para Meri Muhabat k Anjam Se.
`
Sab Kuch Hai Mere Pas Per Dil ki Dawa Nahi
Door wo Mujhse hai Per Main Khafa Nahi.
Maloom hai Ab bhi Pyar Karta hai Mujhe.
Wo Thora Ziddi Hai Magar Bewafa Nahi.
`
Rehte Hain Hum Door to Kya Hua,
Hum Juda to Nahi,
Baat Nahi ker Sakte to Kya Hua,
Hum Khafa to Nahi,
Na Nilna Hamari Majboori Hai,
Per Hum Bewafa to Nahi…
Juda wo Hue pr Hum Nahin,
Khafa wo hue pr Hum Nahin,
Ek Hum He the Jo unse Pyar Karte Rahe,
Bewafa Woh The Par Hum Nahin.
`
Dil K Qareeb Aa K Jab Wo Door Ho Gaye,
Sary Haseen Khawb Mery Choor Ho Gaye.
Humne Wafa Nibhai To Badnamiyan Mili,
Jo Log Bewafa Thy Wo Mashhor Ho Gaye.
`
Guzry Dinon Ki Bhuli Hui Bat Ki Tarha
Aankhon Main Jagta Hai Koi Rat Ki Tarha.
Us Se Umeed Thi K Nibhaye Ga Sath
Magar Woh Bhi Badal Gaya Mery Halaat Ki Tarha.
`
Ek Bewafa Se Aik Mulaqat Bohat Hai
Jitna Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai
Duniya Ko Dil Ke Daagh Dikhaon To Kis Tarah
Aye Zindagi Yeh Raaz Chupaon To Kis Tarah
Apni Tabahiyoon Mein Mera Haath Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai
Toota Jo Dil Ka Aaina Tootay Sabhee Bharam
Hoti Hai Umar Pyaar Ki Jeenay Ke Liye Kamm
Marnay Ke Liye Dard Ki Raat Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai
Ek Bewafa Se Ik Mulaqat Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai.
`
Juda Honay Ka Andesha juda hony se pehle tha,
Wo mujh se intehai khush khafa hone se pehle tha,
Junoon ka doar guzra to mujhe b bhool betha wo,
Namaz-e-ishq tha lekin, qaza hone se pehle tha,
Main kese soch sakta tha mujhy wo chor jayega,
Bohat hi ba’wafa wo bewafa hone se pehle tha.
`
Bewafai UsKi Mita Kar Aaya Hun,,
Khat Us K Paani Main Baha Kar Aaya Hun,,
Koi Parh Na Lay Us Bewafa k wadaun Ko,
Is Liye Pani Mein Bhi Aag Laga Kar Aaya Hun.
`
Kitni Saji Hai Bewafai Teray Masoom Chehray Par.
Hum Bhi Pagal Thay k Is Adaa Pay Mar Gaye…
`
Mera Taajub Ajab Nahi Hai.
Wo Shakhs Pehle Sa Ab Nahi Hai.
Wafa Ka Kya Gila Karon Main Us Se ‘Ghalib’
Wo Mera Tha Kab Jo Ab Nahi Hai…
Aap ka ashiyana Dil me basaya hai,
apki yaado ko sine se lagaya hai,
pata nahi yaad apki hi kyo aati hai,
Dost to hamne auro ko bhi banaya hai..
`
Waqt guzrega hum bikhar jayenge,
kaun jane ki hum kidhar jayenge,
hum apki parchayi hain yaad rakhna…
jahan tanhai mili wahan hum nazar ayenge.
`
Ye Dosti chirag hai ise jalaye rakhna,
ye Dosti gul hai ise khilaye rakhna,
Hum rahe na rahen is jahan mein…
Bas hamari yaad Dil me basaye rakhna..
`
Ajnabi galiyon se hum guzra nahi karte,
darde Dil liya aur diya nahi karte,
ye Pyara sa rishta sirf aapse hai,
warna itna yaad hum kisi ko kiya nahi karte..
`
aisa nahi ki aapki yaad aati nahi,
khata sirf itni hai ki hum batate nahi,
Dosti aapki ANMOL hai humare liye,
samajhte ho aap isliye hum jatate nahi..

1. Mohabat ke bina zindagi fizool hai
Par mahobat ke bhi aapne ussol hai
Kehte hai milti hai mohabbat mein bahut ulfaate
Par aap ho mehboob toh saab kubul hai…
2. Mat kar mere dost hasino se mohabbat
vo aankho se waar karti hain
maine inhi aankho se dekha hai
ki vo kitno se pyaar karti hain
3. aasmaan aaj fir se roya hai,
naakaam aashiqon k haar me ek aur moti piroya hai,
koi to bataaye kaha mera mehboob khoya hai,
mohabbat ki kabr me mera ye pyar soya hai
4. Unki Mohabbat ke abhi nishaan baki hai,
Naam lab par hai aur jaan baki hai .
Kya hua agar dekh kar muh pher lete hai,
Tasalli hai ki shakal ki pehchaan baki hai …
5. Nazar ne nazar se mulaqat kar li,
rahe dono khamosh par baat karli…
Mohabbat ki fiza ko jab khush paya,
in aankhon ne roh roh ke barsaat kar li…
6. kuch fitrat hi aisi hui ki
pyar se jeene ki surat na hui,
jinhe chaha vo mil na sake,
jo mile un se mohabbat na hui
7. Woh Mausam Wo Bahar Bhi Uske Samne Kam Thi,
Uske Saath Guzra Wo Waqt Wo Fiza Bhi Num Thi,
Per Kya Kare Ae Zalim
Apne Hathon Mein Mohabbat Ki Lakir Hi Kam Thi!!!
8. teri har ada mohabbat si lagti hai,
1 pal ki judaai muddat si lagti hai,
pehle nahi soch tha ab sochne lage hai hum,
jindagi k har lamho me teri zarurat si lagti hai

Jee lete hain Koi humein agar kahe bura,
dua dekar usse honton ko hum see lete hain
Dard ho chahe kaisa,
zehar yeh chupke se hum pee lete hain..
`
Wo lamhe humein yaad na rahe toh kya hoga
tere siva kuch bhi aabaad na rahe toh kya hoga
aisi hai yeh dil ki majbooriyaan kaise batau
inn saanson mein ab tera naam na rahe toh kya hoga..
`
Apko bhul jaye wo nazar kaha se laye….
Kisi aur ko chah le woh jigar kaha se laye….
Nahi reh sakte app ke bina….
Uff bhi na nikle wo Zeher kaha se laye…
`
Chodh diya akele humme
kisi aur ke baahon mai simatne ke liye
phir bhi pyaas agar bhoojti nahi
mere aansoon ke tailab mai zara doob ke dekhiye..
`
Tarapthe woh hain jinn ko koi ehsaas ho,
door kar ke dua karthe hain, kaash woh mere paas ho,
yeh judaai ke pal khud rothe hai tumari yaad main…
faryaad karthe hain…dard ka bi koi insaaf ho..
Yaadon mai hum rahe ye ehsaas rakhna
Nazro se dur par dil ke paas rakhna
Ye nahi kehte ki sath raho
Dur hi sahi par hume yaad rakhna….
`
Aankho mai arman diya karate hai ;
Ham sabaki Nind Chura liya karate hai :
Ab jab jab aapki palke Zukengi ;
Samaj lena ham aapako yaad kiya karate hai :
`
Yaad Aye toa Ankhey band mat karna
Hum chale bi jaye to gham mat karna
Yeh zaruri nahi ki har rishtey ka koi naam ho
Par pyar ka ehsaas apne dil se kam mat karna…
`
Kisi ke bicharne ka dard saha nahi jata
Usi bhola ni par bhi bhulaya nahi jata …..
Yi ek dard hi aisa hi yaaro
Jo ki chah kar bhi kisi ko bataya nahi jata…..
`
Khud ko akelepan ka tana dia na karo,
Yadoan ka gila shikwa bhi na dia karo,
Kya bataye tumko kitna yaad karte hai,
Hissab lagana hai to apni saanse gin liya karo…
`
Har nakamiyabi ka matlab haar nahi hota,
Har nah ka matlab innkar nahi hota,
Aree kya hua hum usse pa na sake yaaro,
Sirf pane ka matlab pyar nahi hota………
`
Aap se dur ho kar hum jayenge kaha,
Aap jaisa dost hum payenge kaha,
Dil ko kaise bhi sambal lenge,
Par ankhon ke aansu hum chupayege kaha
`
Khud ko akele ka tana na dia karo,
Yadoon ka gila shikwa bhi na kia karo,
Kya btaien tumko kitna karte hai yaad,
Hisab lagana ho toa apni sansien gin lia karo
`
Tumhi ko dil diya,tumhi ko jaan denge,
Kabhi mujhse yeh kaha karte thy,
Inhi baaton ke sahare tumhara intezar kara..
Inhi yaadon mein apni zindagi bita denge…
`
Tere shaher ka mousam bada suhana laga,
Ek shaam chura lu agar bura na lage
Tere bass main hai to tu bhool ja mujhe
Tujhe bhulane me mujhe shayad zamana lage…
Jab bhi kisiko kareeb paya hai
Kasam khuda ki wahin dhoka khaya hai
Kyon dosh dete ho kaanton ko
Ye zakhm to humne phoolon se paya hai!!
`
Jab hamko unse mohabbat thi
Unhe hamari mohabbat pe shak tha
Jab unhe ehsas hua hamari mohabbat ka
Tab hum par kisi aur ka hak tha
`
Dil ne tere pyar per majbur mujh ko kardiya
Is jahaan ki har khushi se dur mujh ko kardiya
Jis qadar chaha tha dil ne pass tere aane ko
Is qadar dunya ne tujh ko mujh se dur kardiya.
`
Muskurane ki vajah kya jane hum
Hum to unki yaad ko tazaa karte hai.
Kambakth ye hasi bhi aisi hai ki
Unki judai mein bhi ro kar muskurati hai.
`
Hakikat na puch mere fasane ki,
Tere jate hi badal gayee najar jamaane ki,
Log kahete hai ki khush hu mai,
Lekin meri to aadat hai gum me muskurane ki…

No comments:

Post a Comment